गेस्ट आइटम :नव वर्ष की शुभकामनाओं सहित ।
कविता :"नए वर्ष में कुछ सुख अपना ,कुछ दुःख उनका बांटें हम "-श्री मुरारी लाल मुद्गिल (ज्योतिषाचार्य ),एन -५७७ ,सेक्टर -२५ ,जलवायु विहार ,नौएडा-२०१-३०१ ।
समय स्वभावतया ,गतिशील रहा करता है प्रति -पल,
जलता -बहता kalrav kartaa ,sadaiv gatimaan rhaa kartaa hai ,aviral .
bahurangee ,bahu-aayaamee ,aahlaadit detaa aayaa hai samvedan ,
samvet chetnaa kaa kartaa rhaa ,satat srijan visarjan .
samay adhik saarthak ho ,parivartan laataa hai adhunaatan ,
din ko maas aur maas ko varsh banaataa aayaa hai nootan .
samay ki aabaddh anukramimaa me ,keval ,'ab 'apnaa hai ,
satat prayaason se sanjoyi sampadaa kshan bhangur sapnaa hai .
naye varsh me jyotirmay ho ,avinaashi ab ko jaane ,
samagr chetnaa udbhaashit kar ,sat -chit -aanand ko pehchaane
ban yug prahri ,maanav jivan ke dhundhalke chhaanten ham ,
naye varsh me kuchh sukh apnaa ,kuchh dukh unkaa baanten ham .
Prastuti :virendra sharma (veerubhai ).
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें